Screen Recorder for Anroide

Hey, aaj main aapko android phone ki screen record karne wale top 5 apps ke bare me batane wala hun. Mobile par gaming videos aur screen cast ke liye aapko apne mobile ki screen ko record karna hota hai. Waise to play market me dhero screen recorder apps available hai par unme se ek ko select karna thoda mushkil hai.
Haal hi me mujhe apne ek tutorial ke liye mobile screen video ki jarurat thi to maine socha kyun na apne phone ki screen ko record kara jaye. Waise mere pass 2 smartphone hai ek Lava Grand X1 aur dusri Samsung J7, maine kai sare screen recorder apps apne phone me install kiya aur unme se mujhe 7 hi aise apps mile jo phone ki screen record karne ke liye best hai.

Android Phone ki Screen Record Karne Wale Top Apps

Is me batayi jane wali sabhi apps ‘free of cost’ hai isko install karne ke liye aapko ek bhi paisa play store ko pay nahi karna hota hai. Waise play store par paid screen recorder apps bhi available hai, to agar aap chahe ki aapko badhiya quality ka screen recorder app mile to aap wo buy kar sakte hai par main aapko batana chahta hun free wale apps bhi bahut hi achhe hote hai, kharidne se pahle kuch apps bhi try kar lijiye.
Mobile ki screen record karne ke liye ye ek bahut hi accha app hai khud main iska use karta hun aur isme mujhe video quality maintain karne ke liye 3 option bhi milte hai jiska use karke mai low storage me bhi high quality videos record kar sakta hun.
Waise to ish app ko use karne ke liye root permission ki jarurat nahi padti hai par aap aagar chahe to phone ko root karke bhi iska use kar sakte hai. Root karne ke baad ish app ka interface aur bhi accha ho jata hai.
Ish application ko google ne ban kiya hua hai, waise screen recorder ke mamle me ye hai to ek accha app par google ka kehna hai ki ye app aapke smartphone ke liye dangerous ho sakta hai.
Src recorder app ek badhiya app hai is app se aap apne phone ki screen ko 3 minute tak record kar sakte hai wo bhi apne phone ko bina root kiye. Without rooting aap phone ki screen recording limit 3 minute tak hai par jab aap apne phone ko root kar lete hai to isse unlimited recording ki ja sakti hai.
Video editing aur screen recording ke liye shou app aapke liye ek cool app ho sakti hai. Is app se screen record karne ke alawa aur bhi bahut kuch kara ja sakta hahi, jaise ki while screen recording aap apne phone me same time me snap bhi le sakte hai aur to aur videos ko edit karke upload bhi kar sakte hai.
Screen recording aur videos editing ke alawa isme aap chatting bhi kar sakte hai aur online videos stream bhi kar sakte hai. Is app ko multiple uses ke liye use kara ja sakta hai.
  • AZ SCREEN RECORDER
  • SCR SCREEN RECORDER
  • REC ( SCREEN RECORDER)
  • SHOU SCREEN RECORDER )

0 comments:

Post a Comment