Free File shareing

Sabse pahle mai btana chahunga ki file share karne ke liye multiple website hai jo ki free hai matlab koi charge nhi lagta hai. Aaj is post me kuch important  website ki bare me btane ja rha hu jo large file sharing ke liye jyada use kiya jata hai jiski service achi aur secured hai.

To aaye jaante hai kuch chune gaye important websites ke naam jis se aap assani se free me file sharing kar sakte hai.
  1. DropBox
  2. Google Drive
  3. FilesOverMiles
  4. OneDrive
  5. WeTransfer
  6. DropSend

Website For Free File Share

1. DropBox
Dropbox free me file share karne ka sabse achi website hai. Ye ek free cloud service hai jispe aap account create kar sakte hai.
Ye per account 2GB free space provide kartai hai jo ki badi file sharing ke liye sufficient hai. Aap DropBox pe apna aacount create kare aur fir apni file upload kar uski link kisi user ko share kar sakte hai .
2. Google Drive
Maine apne pichle post me be likha hua hai ki Google drive kya hai aur kaise use karte hai. Google Drive Google company ke dwara di gayi ek free cloud service hai . Google pe account banae pe aapko 15GB free space di jaati hai.
Google drive dawara di gayi space jyada badi file sharing ke liye feature provide nhi karta hai but ye ek achi service hai. Aap Google pe apni account bna kar asaani se apni file share kar sakte hai.
3. FilesOverMiles
Files Over Miles bhi free me file share karne ke liye achi websites me se ek hai. FilesOverMiles ko use karne ke liye aapke PC me falsh player install hona chahiye. Aap apne files ke liye secret aur encrypted link generate kar kisi user ko access de sakte hai.
4.  OneDrive
OneDrive bhi ek cloud service hai jiski feature same as DropBox jaisi hai. Ispe free account create kar aap 15GB tak file rakh sakte hai. Apna free accounts create kare fir file upload kar share button pe click kare. Jiske sath file sharing karna chahte hai usse easily share ho jayegi.
5. WeTransfer
WeTransfer ek simple cloud service hai jisse file sharing karne ke liye acha bnaya gya hai. WeTransfer ko 2009 me develop kiya gya tha. Ispe free account create kar aap 2GB tak ki file bhej sakte hai.
6. DropSend
DropSend pe free account create kar apne files ko email ke jariye share kar sakte hai. DropSend free plan me 5 files har mahine bhejne ke liye allow kiya hua hai aur 250MB storage space deta hai.
Upar diye gaye sabhi cloud service ke free plan available hai jispe account create kar aap free me file share karne ka fayda utha sakte hai.

0 comments:

Post a Comment